Saturday 13 October 2012

best-shayaris

1.Yun hi   
    ranjjishon main Guzar gai zindagi...

kabhi wo khafa kabhi hum khafa,,,
2. Ye kafan,
ye Qabar ,
ye janaze,
rasm_e_shariyat hain,,

mar to insan tab hi jata hai
jab koi chor jata h .......
3. .Tujhe bhulane nahi mumkin iska taqaza na kiya kar...Aankhe andhi bhi ho jaeyn to aansu nahi ruka karte
5. Aye dile nadan aye dile nadan..arzoo kya he justju kya he aye dile nadan...hum bhatkte he ku bhatkte he ..darshto seira me esa lagat he mujh piyasi he apni dariya me kesi uljhan he .ku ye uljhan he ek saya sa..ru bharu kya he aye dile nadan arzoo kya he justjo kya he..kya kayamt he kya musibat he khe nhi sakhte kis k aarma he...zindagi jese khoi khoi he..thera thera he ye zami chup he aasma chup he phi ye dadhkan se arzoo kya he aye dile nadan..♥♥♥.
6. Ja kar samandar k kinaray,,,

tum apny hatho main pani utha lena ,;..

jitna tum uthalo wo tumhari chahat,.,.
jo utha na sako wo hamari chahat.
 
7. Muhabbat .....
bhi to ek tarha ki siyasat hi hoti hai,....

jo jete to
BADSHAH~
...
or jo haare to

QED_E_ TANHAI
8. Chup kar ....
ye kia us ki gawahiyan,
usi ki safaiyan,,,,

tu mera dil hai ya us ka
wakeel ???????....
9. teri talab ki hadd ne aisa
junoonbaksha ......
hum khud ko bhool bethy tujhe
yaad karte karte
10. Umar bhar ki chahatoo’n ka khawab aankhoon main liye

kya tum bhi bichar jao gay eik din Ouroo’n ki tarah
11. Wo Jo Kehta Tha K Mujhe Mohabbat Karni Nahi Aati
Uss Sy Puchna Ke Phir Dil Torna Kahan Sy Seekha....!!
12. Ek Roz Yunhi Chalte Chalte Uss Ne Pocha Mujh Se,
Koun Ho Tum

Aur
...
Koun Hun Mai

Main Muskuraya

Aur Kaha,

Raasta Hun MAIN, Aur
Manzil Ho TUM♥♥
14. Sochty hain to Dobtay he chalay jatay hain"Dost"
Ankhein he nahe us ki yadein B samandar hain..
.
15. Bas Aik He Tamanna Rakhta Hun Main Apnay Dil Me
Muhabbat Say Milo Chahay Mujhay Barbad He Ker Do....!!!
16. "Never Play With Feelings Of Others,Because
you May Win the Game But You'll Surely Lose
The
Person For Ever"
17. ❤❤❤....Sasoo ne kha Rukh mor liya koi rah nazar na ayi .....
dhadkan ne kha Dil chod diya kha choode in jismoo ke sayee.....

ye he bar bar sacchti hu tanha me yha mere sath sath chal rha he yaado ka duha.......

JO BEJHI THI DUAA WO JAKE AASMA SE YU TAKRA GAI KE AGI LOT KE SADA......
❤❤❤
JO BEJHI THI DUAA JAKE AASMA SE YU TAKRA GAI KE AGI LOT KE SADA......
❤❤❤
18. kon kehta he k nafratoon me Dard hai.........!!!!!!
,,,,,,,,,,,,,AYE DOST ,,,,,,,,,,,,
Hadd se zyada Muhabbat bhi takleef deti hai.......
19. hum jesa ahl_e_dil
tujhe kahan mile ga?.............

ay dost ...........

... jo teri be'rukhi bhi sahy
or
tujhe pyar bhi kry.
20. is jahan ki
zindagi mujhe achi nahi lagti;;;''''............

'''''''''

... suna hai ky
marny ky baad koi
nafrat nahi karta
21. tasali rakh Ae
dil_nadan mat ro apni
tanhai py.....................

tera tha hi kon jo hal
pochta.
22. saza yeh di k aankhon se chen
li neenden .....................

juram yeh tha k uski chahat k
khawab dekhey they.
23. Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai.
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyaar
Mila Hai.
Guzar Rahi Hai Zindagi Imtehan Ke Daur
Se.
Ek Khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai…
24. Hum purany ho chukay hain
iss dosti main ae

................DOST......................

Ab tum bahanay doondtay ho
hum se door hoonay k ......
25. Mujh Se Kya Gila Hai Tum Ko, Aakhir Itne Badguman Kyon Ho,
Mein Ne Tum Ko Chaha Hai, Tum Se To Kuch Nehi Chaha..!!!
26. Jab tak tere saath hon tujhe
mayoos na hone donga

..................JAAN..................
umer bhar ki khushyon ka main
wada nahi karta.
27. Gharz agar sharab tak hoti to
na aate tery mekhaney main ,....

yeh jo teri nazron ka jaam hai
kambkhat khain aur nahi milta.
28. Tu mujh se doriyan barhanay ka shouq pura kar,.,,.

Meri bhi zid hai tujhe har dua me mango.
29. Ranj de kar malal karte ho,
tum b sajan kamal karte ho,
dekh kr poch liya haal mera,
chalo kuch to khayal karte ho ,

shehr-e-dil me udasiyan kesi?
ye b mujhse sawal karte ho,

marna chahen to mar nahi sakte,
aisa jeena muhal karte ho,
...
ab kis ki misaal don tum ko?
hr sitam be-misaal karte ho .
30. Agar kisi ki muhbbat ka Aandaza lagana ho to .....!!!

Uska gussa ek bar dekh lo .......!!!!

Kyuki jitni shiddat se insan gessa karta he ..........!!!

Usse Zyada shiddat uski Mohabbat me Hogi.......!!!♥
31. silsiley toor gaya woh sabhi jatey jatey,
werna itney tu marasim they kah atey jatey,
kitna asan tha terey ishq main merna janana
phir bhi ek umer lagi jaan se jatey jatey
us ki wo janey usey pass-e-wafa tha kah na tha
tum faraz apni teref se tu nibhatey jatey.
32. Hath se hath churaney lage ho
Mujhko pathar ka banane lage ho
Zara thehro mein yakeen tou karloon
Tum mujhe chor ke janey lage ho…
33. Hum to saya tera ban jaen, agr tu chahe.
Ya kabhi bhi na nazar ayen, agr tu chahe.

Tu jo chahe to sar-e-aam Karen ehd-e-wafa.
Yon hi dunya se guzar jaen, agr tu chahe.

... Mujh se milne min to janaan teri ruswai he.
Hum teri yad se mil ayen, agr tu chahe.

Tu jo keh de to pukaren sar-e-bazar tujhe.
Ajnabi ban k guzar jaen, agr tu chahe.

Zindagi Karen tujhe agr teri ijazat mil jae.
Teri chokhat pe hi mar jaen, agr tu chahe.
34. ~*~Woh shakhs raat phir meri hasti pe chha gia~*~
~*~itna qarib aya k dil mein sama gia~*~
~*~woh eik pal jo dey gia asodgi ki kher~*~
~*~jazbo ki taza dhoop mein pagal bana gia~*~
~*~pehly meray wajod per utra wo bond bond~*~
... ~*~barsa to phir ghata ki tarah mujh pe chha gia~*~
~*~woh jab mila to piyas se lab khushk thay bohat~*~
~*~lota to hasraton ko wo pani pila gia~*~
~*~paband kar gia mujhy lamhon ki qaid main~*~
~*~ankhoo pe apni yaad k pehray bitha gia~*~
35. Mujhay ab bhi mohabbat hay
teray qadmon ki aahat say

teri har muskurahat say
teri baaton ki khusbho say

... teri aankhon k jadu say
teri dilkash adaon say

teri qatil jafaon say
mujhay ab bhi mohabbat hay

teri rahon main ruknay say
teri palkon k jhuknay say

sehar o sham haton pay tera hi naam likhnay say
teray tesh o adawat say

teri bey ja shikayat say
yahan tak k sanam meray

teri har aik aadat say
mujhy ab bhi mohabbat hay.
36. Saare WA'ADON ko bhula sakti hon,
Lekin
Rehne Do..!
...
... Main tumhein chor k
Ja sakti hon,
Lekin
Rehne Do..!

Tum jo har morr pe keh dete ho
KHUDA HAFIZ,
Faisla me bhi suna sakti hon,
Lekin
Rehne Do..!

Tum ne jo baat ki
Dil ko dukhane wali,
Us per main
Muskura b sakti hon,
Lekin
Rehne Do..!

Sharam aaye gi tumhein
Warna Tumhare WA'ADAY,
Me tumhein YAAD dila sakti hon,
Lekin
REHNE DO..!!'
37. Moom Ki Tarha Pigalty Howe Dheka Usko,
Rut Jo Badli To Badalty Howe Dheka Usko..

Wo Jo Kanto Ko B Narmi Se Chuwa Krta Tha.
Humney Phoolo Ko Masalty Howey Dheka Usko ,

Jany Wo Mangny Jata Hy Duwaoon Mai Kisy,
Hath Uthathy He Sisikty Howe Dheka Usko.
38. Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai !

Dekh kar log mujhe naam tera lete hain,
Is pe main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai !
...
Woh sitamghar hi sahi dekh ke usko lekin ,
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai !

Tu kahin bhi rahe, sar pe tere ilzaam to hai,
Tere hathon ki lakiron mein mera naam to hai
!
39. kabi chaho ge
To chahat se
Bulayen ge tumhen.

Dard'e dil hota hai
... kia ye dikhayen ge
Tumhen.

MOHABAT
Hoti hai keya
Muhabat kar k
Daikh lena

Phir mere pas
Aana kuch or
Batayen ge tumhen,

kabi na aayen
Aankh main aansuo
To aisa karna,

Ek sham
Mere pass ana
Buhat rulayen ge
Tumhen,

Har pal raho ge
Bechain muhabat
Main,

khayal ban kar
PAL pal satayen ge
Tumhen,

Pochte ho jo
Zinda rahne ka
Sabab,

Chalo kisi roz
Zindgi se
Milwayen ge tumhen.
40. Dunya mein mat dhoond naam-e- wafa
“faraz”
Dilon se khelte hein log bana ke humsafar apna…
.
41. Bichrra kuch iss adaa se k rutt hi badal gai
Ek shakhs saray shehar ko weeran kar gaya.
42. kabi jo hum nahi hon gay…
kaha kis ko batao gay…
wo apni uljanein sari..
wo becheini main doobe pal….
wo aankhon main chupe aansu…
kise phir tum dikhao gay…
... kabi jo hum nahi hon gay…
boht bechan hon gay…
boht tanha reh jao gay…
abi b tum nahi samjhay…
humari ankahi batain…
mgr jab yaad aayein gay…
boht tum ko rulayein gay…
boht chaho gay phir b…
hamay na doond pao gay…!!
43. Kuch Aise Hadse Bi Zindagi
Mein Hote Hai
''Faraz''
Ke Insan Bach To Jata
Hai Mager Zinda Nahi
Rehta....
44. Uski dharkan se zindagi ka rishta hai mera,
Vo zindagi ka ek ahem hissa hai mera,
Ye mahobbat usse sirf lafzo ki nahi,
Uski rooh se rooh ka rishta hai mera.
45. Wo samne aye to Nazron ko Jhukaa loon ga
Dekhoon ga nahi phir bhi Tasweer bana loon ga,

Aana ho to aa jao Ruswayee nahi hogi
Dekhega nahi koi Palkon mai chupa loon ga,
...
... Jo Hum per guzarni hai ek bar guzar jaye
Her Gham ki tarha Tujh ko Seene se laga loon ga,

Weeran agar Dil ho Aankhon mai Andhera ho
Yaadon ke Diye apni Palkon mai saja loon ga,

Manzoor agar hogi Ruswayi Teri Mujh ko
Mai beth ke Sahil se Toofaan utha loon ga,

Naraz agar wo hain Mere Nasheman se
Mai apne Nasheman ke Tinkon ko hata loon ga,

Kyun Mujh se Khafa ho ker wo Door gaye
Baanhon mai wo aa jayaen mai un ko Mana loon ga..!!!
46. itna kyon chaha usse ke bhula na sake,
itna kyon paas aaye ke door ja na sake..
Ab tanhai mein baithe to sochte hain,
kyon chaha usse jisse hum pa nahi sakte...
47. Pyaar diya usse per milla kuch bhi nhi
Itni gehri Chahat ka hasil o hasool kuch bhi nhi
Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari
Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nhi
Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata per
Par hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nhi
Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye
Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nhi .....
48. Dekha palat k usne k hasrat usey b thi,

hum jis par mit gaye they mohabbat usey b thi,

chup ho gya tha dekh kar wo b idhar udhar,
...
... dunya se meri tarha shikayat usey b thi,

ye soch kar andhere galey se laga liye,

raaton ko jagne ki adat usey b thi,

wo ro diya tha mujh ko pareshaan dekh kar,

us din hala'n k meri zarurat usey b thi,

un pathron k sath nibhani pari usey Wasi,

jin se faqat mujhe nahi nafrat usey b thi...
49. Mai Akser us se kehta hon
tum shor buhat machati ho
phir wo mujh se kehti hai
jab kalaayi meri pakro gai
chori tau meri khankay gi
chorri ka shor tau hota hai
... jab pyaar sey mujhe bulao gai
tab dorr k mai tau aao gi
phr paayl meri khanky gi
payaal ka shor tau hota hai
jab bindiya meri chamky gi
yai aankh mai teri damky gi
jazbay phir shor machayein gai
jazbo ka shor tau hota hia
zulf meri suljhatay howay
jab gajray ko bikhrao gai
tab sansai meri mehkain gi
sanso ka shor tau hota hai.
50. Sadyon Se Ik Sapna Hy,
Kaho Pura Karo Gey Tum?
Bhol Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Nhi Kuch Or Tamana Ab,
K Bus Mery Ho Jao Tum,
Kabi Na Chor K Jao gey,
Kaho Aisa Karo Gey Tum?
Faqt Ik lafz Sunne Ko Kai Barso se Tarsy Hn
MUJHE APNA BANA LO TUM.
Kaho Aisa Karo Gey Tum?.
51. Mujy terey Kafly mien Chalny ka koi Shouk nahi
Mager terey Sath koi or Chally Mujy Acha nahe Lagta.
52. y dill bhulata hi nahi hy muhabatain uski...
pari howi theen mujhy kitni adatain uski..
.
53. Pyaar diya usse per milla kuch bhi nhi

Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nhi ....
54. Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi,
Jeeton To Tujhay Paon Haroon To Piya Teri,
Her Lehza Khyl Rakhon Gi Srif Itna,
Beth Jaon To B Teri Aur Uth JAon To B Teri,
Kuch Kar Loon Haal Apna Aisa Humsafar,
Aankh Lagay To B Teri Aankh Khulay ...To B Teri,
Teri Har Aahat Pay Paa Loon Gi Tabeer Aisi,
Hans Jaon To B Teri Rooth Jaon To B Teri,
MAy Saath Doon Tera Kuch Aisay JAan-E-jahan,
Zinda Rahoon To B Teri Mar Jaon To B Teri......... !!!
55. Hujoom mein tha voh khul kar na ro saka hoga
magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga
voh shakhs jis ko samajhney mein mujhko umar lagi
bichar k muj se kisi ka na ho saka hoga
laraztey haath, shikasta si dor saanson ki
...voh khushak ph...ool kahan tak piro saka hoga
boht ujaarr they pataal uski ankhon k
voh ansuon se na daman bhigo saka hoga
merey liye voh qabeeley ko chor kar ata
muje yaqeen hai yeh uss sey na ho saka hoga...
56. Zindagi se yahi gila hy muje,
too boht der se mila hy muje,

hmsafar chahiye hujoom nahi,
ik musafir b qafla hy muje,

too mohabt se koi chaal tu chal,
har jane ka hosla hy muje.
57. khuwab bhi shayad kaanch se kamzor hote hain dost ,
her roz bikhar jaate hain faqat ik aankh k khulne se.
58. Howa Hai Tujh Se Bicherney Ke Baad Ab Maloom,,
Ke Tu Nahin Thaa Tere Sath Ek Dunya Thi …!!!
59. Chalo Chorro Janey Do In Shikasta DIL Ki Aahon Ko
Agar Kisi Ko Ehsas Hota To Hm Bikharte Hi Kyun”..
60. Nikal Hi Aati Hy, Kahee’n Na Kahee”n Se Gunja’ish..
Koi Bhi Pyaar, Kisi Ka, Aakhri Nahee’n Hota….
61. Jatay thay mere haq mein sab hi faislay magar,,
munsif ne bhi har baar diya saath ussi ka,,
Ek wo hai k yun Tor diye rishtay sabhi hum se
Ek DIL hai ke rehta hy tarafdaar ussi ka…..!!!!!
62. Manzalain bhi uski thi,
Rasta bhi uska tha,

Ik mey akeela tha aur,
Kafila bhi uska tha,

Sath sath chalney ki khahish bhi uski thi,
Phir rasta badalny ka faisala bhi uska tha,

Aj kiyon akeela hon, Dil sawal yey karta hey,
Log to uskey theey, Kiya khuda bhi uska tha.
63. Kabhi utro youn merey Dil ke kachey Aangan main
kisi udaas mousam main
kisi Veeran Lamhey main
Chupkey se dabey paon
Meri Aankhon par rakh do haatH Apney
...aur hastey hovey keh do
bhoojh lo to HUM tmharey Na bhojo to
TUM HAMAREY.
64. Choom Leti Hai Latak kar kabhi Chehra, kabhi Lub
Tum Nay ZulfoN ko Bhi Bahut Sar peh Charhaa Rakha Hai

Teri Makh'moor NigaahoN Say Hai RaunaQ Saari
Warna Saaqi Terey Mai'khaanay MeiN kia Rakha Hai.
65. Umar bhar ki chahatoo’n ka khawab aankhoon main liye
kya tum bhi bichar jao gay eik din Ouroo’n ki tarah….!!
66. Tujh bin ghar kitna soona tha...
Deewaron se darr lagta tha
Galiyaan shaam se bujhi bujhi theen...
Chaan bhi jaldi doob gaya tha
Sannatey mein jesey koi...
Doorr se awaazen deta tha.
Yaadon ki seerhi sey Nasir...
Raat ik saya sa utra tha.
67. KOI RAAT MERE ASHNA MUJHE YOUN B TO NASEEB HO..
NA KHYAL HO LIBAS KA WO ITNA MERE QAREEB HO..

BADAN KI GARAM AANCH SE MERI AARZU KO AAG DE..
MERA JOSH B BEHAK UTHAY MERA HAAL B AJEEB HO..

TERAY CHASHNI WAJOOD KA MAIN SARA RASS NICHOR LOON..
PHIR TU HE MERA MARZ HO PHIR TU HE MERA TABEEB HO.
68. Dil k kareeb a k jab wo door ho gaye
sary haseen khawb mery choor ho gaye
humne wafa nibhai to badnamiyan milin
jo log bewafa thy wo mashhor ho gaye.
69. Kabhi Na Socha Tha Hum Ne Qateel Is Ke Liye
Kare Ga Hum Pe Sitam Wo Bhi Har Kisi Ki Tarah.
70. wo ajab shaks tha aey zindagi jisay samjh kar bhi na samjh saka
mujhay chahta bhi ghazab ka tha or mujhay chor kar bhi chala gia,,
71. Jis ghari us ki yadon ka sama hota hai,
Phir muyassar mujhe aram kaha hota hai,
Hosla mujh mein nahi us ko bhula dene ka,
Kaam sadiyon ka lamhon mein kahan hota hai…
72. Muhabbaton me dukh ke siwa rakha hi kya hai…
Wo mil bhi jaaye to judaai ke Andeshe maar dete Hain.
73. Uske hatho ka khilona hi sahi khush hu mein
Kuch der ke liye hi sahi mujhe chahta to hai..!!.
74. Dor ho k bhi apke pass raha kerty hain
teri yadon k sahary jia kerty kain
tujh se koi shikayat na gila kerty hain
tu salamat rahy bas yehi dua kerty hain.
75. Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy

Vo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy

Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham Mohsin
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy……!!
76. MAIN BOJH BAN JAONGA APNE HE DOSTON PR 1 DIN FARAZ
DEKHNA JB KANDHE BADAL RAHE HNGAY WO HAR DO QADAM K BAAD.
77. mout ke baad yaad aa raha hai koi,
mitti mery kabr ki utha raha hai koi,

a khuda do pal ki zindgi or de de,
mery kabr se udas ja raha hai koi…
78. tukra ke usne mujh ko,
kaha muskuraane ko
Main hansh diya kyon ki ,
sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usee ka tha. . . .!!!!
79. uske nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahi
mutmainn aisa hai wo jaise hua kuch bhi nahi
main to is waaste chup hun k tamasha na bane
tu samajhta hai mujhe tujhse gila kuch bhi nahi ??
80. Kitna Chaha Hai Tujhy Kabhi Ghor To ker
To Meri Sanson Main Hai Shamil Kabhi Ghor To Ker
Ruk Jati Hai Aksar Mere Dil Ki Dharkan
Tere Bina Guzarta Nai Ek Pal Kabhi Ghor To ker
Dil To Ab Rota Hi Rehta Hai Kabhi Ghor To Ker
Kis Karb Say Guzarta Hon Kabhi Ghor To Ker.
81. . Main us ka hoon ,ye raaz tu wo jan gaya hai “Faraz”!!!
Wo kis ka hai ye sawal mujhe sonay nahin deta!
82. Suna Hai Zindagi Imtehan Leti Hai FARAZ
Par Yahan To Imtehano Ne Zindagi Leli.
83. Mujhe maloom hai main uske bina jee nahi sakta..
Uska bhi yehi haal hai magar kisi aur kai liye...
84. "Baaten To Bohat Karte Ho,
Ishq'o'Khuloos Ki Tum,

Kabhi Apne Dil Mein To Dekho,
Ham Hen Bhi Ya Nahi"...???
85. Kabhi humse bhi do pal ki mulaqat kar liya karo....,

Kya pata aaj hum taras rahe hai, Kal tum dhundte
reh jao..!!
86. Tm Bht Dil Nasheen thay,

Pr jb se ho gye ho Us k, Zeher lagtay ho......!!!
87. "Nigah Se hi Qtal kar Do,
Na Ho Taqlif Dono ko,

"Tujhe Khanjar Uthane ki, Mujhe Gardan Jhukane ki......
!!!
88. Mohabbat Aazmani Ho Tou
Bas Ita Hi Kaafi Hy...,,

Zara Sa Rooth Kr Dekho
Mananey Kon Aata Hy...!!!
89. Hum Fana ho gaya Wo badli Phir B nahi,

Meri Chahat se B Sachi thi Nafrat Us ki.....!!!
90. Hum ne to hathon ki lakeeron ko b khuruch dala,

Kisi Alam ne kaha tha Tera yar Bewafa hoga...!!!
91. Ye Masomiyat Ka Kon Sa Andaz Hai,,,,

Parrr Kaat Kar Keh Diya k Ab Tum Aazaad Ho......
92. main apni Hasti Se azzaaad ho gaya hun.
Kisi Bewafa k0 zrorat ho tu mjse khel skta
hei…
93. Tare Chehre Ko Takta Hoon Toh Ye Mari Mohabbat Hai....

Wafa Karta Hai.....

Wafa Karta Hai......!!!
94. KiS tarha khatam kar Saktay hein un Say RiShta,

Jin k0 Sirf dekhney Se hum duniya k0 bh00l jate hain....!!!
95. Ansu Aa Jatay hain Ankhoon me,
Pr Labon pr Hansi Lani Parti hai,

Ye Muhabbat bhi Kiya cheeze hai Yaro,
Aik Se Hoti Hai Hazaroon Se Chupani Parti hai....!!!!
96. Mohabbat to barish jaisi hai,
jisay chooney ki khawahish men,
Hatheliyan to geeli ho jati hen,
magar,
Haath hamesha
khali hi rehtay hen...
97. WOH EK PAL BHE MUJH SAY JUDA NHI REHTA,
NAS NAS MAIN SHAMIL HAI WOH, KIA KEYA JAEY….
98. '"Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi,

... Kuch Kar Loon Haal Apna Aisa Humsafar,
Aankh Lagay To B Teri Aankh Khulay To B Teri,

Zinda Rahoon To B Teri Mar Jaon To B Teri,',.........."
99. alwida kehty hue jab maine us bewafa se talab ki ik nishani…..
wo muskura k b0la daag-e-judai hi kafi hai agar yaad rahy t0u.
.
100. Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad aayegi......!

Jab Chaand Sitare chamak rahey hon
Jab Yaadon k Phool Mehak rahey hon
Jab Deed ko Nain taras rahey hon
... Jab Aankhon se Aansoo baras rahey hon.......,

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad aayegi....,

Jab Tanhai se Dil Ghabraye ga
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega
Jab koi Khuwab hi nahi ayega
Jab Phool Kitab mai hi reh jayega.....

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad ayegi...?
101. Yaad Na Karo Ge,To Bhula Bhi Na Sako Ge,
Mera Khayal Zehen Se Mita Bhi Na Sako Ge,
Ek Baar Jo Tum Mera Dard Dekh Lo,
To Phir Saari Zindagi Muskura Bhi Na Sako Ge...!!!
102. Teri har baat se mohabbat ki hai,
Tere ehsaas se mohabbat ki hai,

Tu mere paas nahi hai phir bhi,
Teri yaad se mohabbat ki hai,

... Main tum ko kis tarha bhool sakta hoon,
Maine teri har ada se mohabbat ki hai,

Kabhi to usne bhi mujhe yaad kiya hoga,
Maine un lamhe se mohabbat ki hai,

Jin mein ho sirf teri aur meri baatein,
Maine un baato se mohabbat ki hai,

Aur jo mehka ho sirf teri hi mohabbat se,
Maine un jazbaat se mohabbat ki hai,

Tujh se milna to ab khawaab sa lagta hai,
Maine tere intezaar se mohabbat ki hai,

Maine teri har ada se har jaza se mohabbat ki hai,
Maine sirf aur sirf tum se mohabbat ki hai...!!!
103. Kaise batau main tumhe,
ke tum mere liye kaun ho?

mere mann tum ho,
mere meet tum ho,
mere chehare pe jo muskurahat lati ho,
... mere liye woh geet tum ho...

mera samay tum ho,
mera theharao tum ho
meri raah tum ho,
meri manzil tum ho...

mera sagar tum ho,
mera sahil tum ho,
jo zindagi ki saari thakaan mita de,
mere liye woh nazara tum ho...

ab kaise batau main tumhe,
ke tum mere liye kaun ho...

meri baatein tum ho,
meri khmoshi tum ho,
meri muskaan tum ho,
mere ansun tum ho...

mera hosh tum ho,
meri bekhudi tum ho,
meri mehfil tum ho,
meri tanhaee tum ho,
mera khwab tum ho,
is dil ka armaan tum ho...

meri saanse tum ho,
meri ankhen tum ho,
mera dil tum ho,
meri dhadkan tum ho...

an main tumhe kaise batau,
ke tum mere liye kaun ho?
meri to shuruwaat bhi tum ho...
aur mera anth bhi..... !!!
104. Us ki Nigah Ma itna Asar Tha..
"Faraz"...

Khareed Li Us Ne Ek Nazar Ma Zindagi hamari.....!
105. Khuda ik bar use mera bna de,

Kitna Chahte hain use koi bata de,

Bohat Naz he hmein apni Mohabat pr,

... Ho jae wo mera aisa Mojza dikha de,

Agr wo mera Naseb ban nahi sakta,

Us k Kadmon ki Khak mujhe bana de,

Hr pal dekhon sirf Sapne usi k,

Na Jagon mujhe aisi Neend Sula de.
106. Teri wafa pe shak nehi,
Teri wafaon ko manta hoon main.
Magar tujhko kiski aur ki aarzoo hai,
Yeh haqikat bhi jaanta hoon main...!!!
107. Na Mila Dil Ka Qadar daan Is Zamaney main….
Yeh Rishtaa Toot Gaya Dekhney Dikhaaney Main…
Sochta Hon Ik Roz Shama Sey Poochon Sagar_
Maza Kis Mein Hai Jalney Main Ya Jalaney Main...
108. Sunoo…!!!
Laot ao na…
Chalo hum maan laite hain…
Hamare beghair bhi reh laite hain
Hamare beghair bhi sans le laite hain
Chalo hum maan laite hain…
Hum se bichar kar bhi…
Mosamon ki rawani nahin badali
Pholon ki nazakat nahin badali
Zamin ki gardish nahin badali
... Chalo hum maan laite hain…
Wo ghaltiyan…
Wo kotahiyan…
Wo gille…
Wo sabhi shikwe…
Chalo hum maan laite hain…
Abb to laot ao…
Sunoo…!!!
Abb to laot ao…
109. Bohta Nazdeek ho kay b, wo Itna dour hai Mujhe se.....!!!

Ishara ho nhi sakta, Pukara jaa nhi sakta........!!!.
110. Mohabbat Haanth me pahni huii ChoooRi ke jaisi hai,

Sanwarti hai, Khanakti hai, Khanak kar Toot jaati hai..
111. Mera saawan b Tum ho meri Pyaas b Tum ho,
Sehra ki baahon mein chupi Aas b Tum ho,
Tum yun to bohat door! bohat door ho Mujhse,
Ehsaas ye hota hai Mere paas b Tum ho,
Har Zakham ki Aaghosh mein ha dard Tumhara,
... Har dard mein taskee...n ka Ehsaas b Tum ho,
Kho jao to Veeran si ho jaati hein rahein,
Mil jao to phir Jeenay ka Ehsaas b Tum ho,
Likhta hoon to Tum hi utartay ho qalam se,
Parhta hun to Lehja b Tum, Aawaz b Tum ho.
112. Ajab si kefiyat hoti hai uski yad aany par..............!
Khumar-E-Neend bhi hota ha par hm so nahi paaty....
113. Uss ko bhulana hota to kab Ka bhula daitey
Wo "rooh-e-mohabbat" hay koi "tammasha" to nahi.
114. Aaj barish ki tarah rone ko ji chahta hy
Hr ek khayal batane ko ji chahta hy
Apni DIL mey chupa lo mujh ko
K aaj tumhare paas aane ko ji chahta he..
115. Koi achi si SAZA do mujhko
Chalo aisa karo BHULLA do mujhko
Apne DIL me basi TASVIR meri
Aisa karo JALA do usko!
Meri WAFA pe agar SHAK hai tumko
Tu phir NAZAR se gira do mujh ko
Muddat hogai hai tere HIJR me jagte howe
Apni sanso ki HARARAT se sula do mujhko
Kuch tu TARAS karo apne DIWANE per
JAAM na sahi ZEHER hi pila do mujhko
Tum se bichron tu MOUT aa jai mujhko
Dil ki Gehrayon se aisi DUA do mujhko.
116. Mohabbat main wo nafrat k diye b sath rakhta hay

Wo mujh se pyar karta hay gilay bi sath rakhta hay

Wo mujh ko sochta hay or ta'aluq bi nahi rakhta

Qareeb aata hay lekin fasilay bi sath rakhta hay...
117. Mujhe uddas dekh kar usne kaha..
Mere hote howe tumhe koi dukh nahi de sakta..
phir..aisa hi howa..
baad main jitne dukh mile..
sab usi k the..!! .....
118. Suno!! Kisi Ne Such Kaha Tha Yeh... Muhabbat Mar Nahi Sakti.... Magar Adhora Such Suna Hum Ne..... Mukamal Such To Yeh Hai Ke.... Muhabbat Khud Nahi Marti..... Muhabbat Maar Deti Hai.........!
119. Laita hon jo tera naam tou uljha jata hon sanson sy Mohsin Samajh mai nahi aata zindagi sanson sy hai ya tery naam sy.
120. Haan Muhabbat K
Hawaley Se Boht
Zalim Hai Tu...!
.
.
Torr Deta Hai Mujhe
... Tu Apney Wado'n
Ki Tarah...!!
121. Ek Pal B Chain Se Guzra Ho To
Qasam Le Lo

Siwaye Yadon K Koi Or Sahara Ho
Qasam Le Lo
......
... Pehle To Baat Or Thi Jo Tum Pe Haq Jatate Thay
Ab Khud Pe B Koi Haq Hamara Ho To
Qasam Le Lo

Tumhi Ne Kaha Tha K Tumhare Labon Pe Mera Hi Naam Aye
Us K Baad Jo Lia Ho Naam Kisi Ka To
Qasam Le Lo.....!!!!
122. Dil bhe aj mujhe yeh keh kar "DARA" raha hai!!!

mERE Doston

Karo yaad use warna ma bhe dharakna chor don ga.........!!
123. Phir Us Ke Baad Jab Chaho Jahan Chaho Jana Chaho Chale Jana.

Meri Sansein Bikharne Tak Toh Mere Reh Jao ..
124. Ye kis ne keh diya tum se k Bazi haar baithy ham

Aey Dost

Mohhabat Mein luttanay ko abhi to jaan baki hai.....!!!!
125. Pyaas vo dil ki bujhane kabhi aaya bhi nahi,
Kaisa badal hai jis ka koi saya bhi nahi ... !

Berukhi is se badi aur bhala kya hogi,
Ek muddat se hamain us ne sataya bhi nahi ... !!

... Roz aata hai dar-e-dil pe vo dastak dene,
Aaj tak hamne jise paas bulaya bhi nahi ... !!!

Sun liya kaise Khuda jaane zamane bhar ne,
Vo fasana jo kabhi hamne sunaya bhi nahi ... !!!!

Tum bade admi ho aur vo ik aam sa shakhs,
Us ne chaha bhi tujhe aur jataya bhi nahi ... !!!!!
126. Ajab Hain Raastay Mere, K Chalna B Nahi Mumkin,

Zara Thokar Jo Lag Jaye, Sambhlna B Nahi Mumkin,

Tera Chehra Meri Nazron Mai Dhundla Sa Na Ho Jaye,
...
... K Ab Bheegi Hui Palkon Ko Malna B Nahi Mumkin,

Milay Hain Baad Muddat K, Bla K Sard Hain Lehjay,

K Jalna B Nahi Mumkin, Pighalna B Nahi Mumkin,

Talluq Toot Janay Se Umeeden Toot Jati Hain,

Dilon Mai Hasratein Lay Kar Behlna B Nahi Mumkin,

Boht Nakameyaan Lay Kar Hua Hoon Khak Ka Qaidi,

Chalo Ab Aaj Se Ghar Se Nikalna B Nahi Mumkin,

Usy Itna Na Socha Kar, Teri Aadat Na Parr Jaye,

Phir Aesi Aadtein Jana, Badalna B Nahi Mumkin....!!
127. Aaj Aasman Ke Taaro Ne Muje se Puch Liya…
Kya Tumhe Ab Bhi Intejar He Uske Laut Aane Ka…
Mene Muskurakar Kar Kaha…
Tum Laut Aane Ki Bat Karte Ho…
Muje To Ab Bhi Yakin Nahi Uske Jaane Ka…!!!!
128. Ab kis taraf jana hai, Kuch khabar nai mujh ko...
.Mere rastey bhi kho gaye, Meri "MOHABBAT" ki tarah...
129. Fasle itne badhane ki jarurat kya thi, tujhe mujh se ruth kr jane ki zarurat kya thi....
Ab jo mujh se ruth kar udas rhti ho, apna hath mere hath se chhudane ki jarurat kya thi....
Duniya kab kisi ke gum ko apna samajhti h, tujhe apna gum duniya ko batane ki jarurat kya thi...
Me aaj tak is baat ko nhi samajh paya, jab sath tere me tha to tujhe zamane ki jarurat kya thi...
130.sau baar marna chaaha nigaahon me doobkar faraz.
Wo nigaahen jhuka lete hain,hume marne nahi  dete.
131. Wo JuDaI BHi kiTni AJeeB Thi kI TuJHe...!

>ALwiDa BHi Na keH sake..!

>TeRe DiL MaI RaHNe ka khYaL Tha.,

>TeRe SaHeR Me BHi Na ReH sake.
132. Nafrat Karni Hai To MujhSe is Qadar Karna Tum...

Ke Tere Baad Main Kisi Se Mohabbat Ke
Qabil Na Rahu . .
133. Afsos Hota Hai Us Pal,
Jab Apni Pasand Koi Chura Leta Hai.
Hum Khwabo Me Dekha Karte H Use,
Aur Haqiqat Koi Aur Bana Leta Hai . .
.
134. Bade hi pyar se luta hai unhone,
jinke upar mujhe aitbar tha,
garo se to milate the apano ki tarah,
par mujhse hi milne ko inkar tha....
135. kaash samajhte woh is dil ki tadap ko,
to yu na hume rusva kiya hota,
unka ye gussa bhi manzoor tha bas,
ek baar hume samajh to liya hota....
.
136. Wqt bdla to mohbt badal gyi,
suraj dhala to saye ki surat badal gai,
bohut dino tk hm unki jrurt bne rhe,
fir hua yu k unki jrurt badal gyi.
137. Mujh Se Naraaz Hai, To Chor De Tanha Muj Ko.

Zindagi! Dekh, Mujhe Roz Tamaasha Na Bana...
138. Tumhari Baat Lambi Hai, Daleelen Hen Bahaney Hen.
Humari Baat Itni Hai, Humari Zindgi Tum Ho...!
139. Teri nazar mein Kuch bhi nahi hoon mein,,
"Meri Qadar Un Se Pouch Jin Ko Palat Kar Nahi Dekha Maine sirf Tere liye.."
140. Kitna asaan thha teray hijr main marna janaan,
phhir bhi ek umr lagee jaan se jatay jatay
!
141. Husan Waalon Ko Kiya Zarurat Hey Banney Sanwarney Ki..
'Faraaz'
Woh Toh Saadgi Mein Bhi Qayamat Ki Adaa Rakhtey Hein...!
142. Aay Ishq Jannat Mein Teri Koi Jagah Nahi . . .
Qaatil Hai Tu ... Bohat Masoom Logon Ka . . . !!
143. Dukh Dena To Shayad Uss Ki Fitrat Mein Shamil Hai,

Maira Ye Farz Hai Ke Ussey Sajdon Mein Bhi Dua Doon,

Mairi Rooh Tak To Uss Ke Hisaar Mein Hai,

... Maiin Iss Say Barrh Kar Ussey Aur Kya Doon?

Woh Shakhs Ke Qadam Qadam Per Karta Raha Mazaak,

Magar Main Chaahoon Ke Ussey Umer Bhar Ki Wafa Doon,

Meri Khushiyon Ka Qaatil Bhi Wohi Hai Lekin,

Dil Nahin Maanta Ke Ussey Koi Saza Doon,

Dharrakta Hai Dil Ban Kar Seeney Mein Woh Hi Hamesha,

Tum Hi Kaho Kaisey Main Uss Ko Bhula Doon,

Faaslon Ne Bhatka Diya Hai Woh Aisa To Na Tha,

Mairey Qareeb Kabhi Aaye To Muhabbat Ka Fakir Bana Doon..
144. Ek Hi Insaan Se Ho Pyaar To Dil-Lagi Me Milta Ha Sakoon ..

''Warna''

Bhatak Jate Hain Wo Log Jin Ki Chahtain Hazaaron Hoti Hai..
145. Chally Aaye Hain in
Aankhon Mein
Uska Akks Paa
Kar ,,

... Yeh Aansu Aaj Phir.
Koi Tamaasha
Chahty Hain.....!!!
146. Jis Phool Ki Parvarish Hum Ne Apni Muhabat Sy Ki..*

"Möhsin"

Jab Wo Khusbu K Qabil Hua To Auron K Liye Mehkny Laga..!!!
147. Jab Us ne Mujh se Jaan Mangi Tu Kese Na Deta

"FARAZ"

Chonk Uthay Thay Frishtay Bhi Us ka Andaz-E-Dua Dekh Kar
.
148. Kitna Lutf deta hai Us Jaga Tanha Beth kar Rona ,

Jahan Roz wo Meri Sansoun sey bhi Ziyada qareeb hota
tha..
149. "Hr wqt milti rehti hai mujhe anjaani si saza"

~* "Main kaisy puchhu taqdeer se mera qusoor kia hai.."
*~
150. "Zaroori to nahi jo 'khushi' day ussi se "Mohabbat" ho",

"dost"

'PYAAR' to aksar 'DIL' "TØRNE" walon se b ho jata hai..
151. Na Jane Wo Kaun Tera Habib Hoga...
Tere Hatho Me Jiska Nasib Hoga..
Koi Tumhe Chaahe Ye koi Badi Baat Nahi..
Jisko Tum Chaaho Wo Khush Nasib Hoga.
152. Mohabbat mein laakhon
zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar
nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil
par,
... jab vo kehte hai hame tumse
pyar nahi..
153. Boy: kya mai tumhe pyarA lagta hu
grl: nahi
B: aggar mai mar jau to tum rogi..
G : nahi
boy bhut dukhi hua aur rone lga .....
grl ne usko apne karib kiya aur kaha
...
tum pyare nahi bhut khubsurat ho ...
mai tuhare sath " rahna nahi jeena " chati hu
aggar tumhe kuch hua to mai " rougi nahi mar" jaugi .......
154. Haqeeqat ke kareeb aane ke baad,
Samza mohabbat ko dil lagane ke
baad,
Muze apna gham nahi, dukh uska he,
Kaun chahega use itna, mere jane ke
baad.
155. chhoti c es jindagi ko kitna badaoge ...
badate reh jaaoge par bada na paoge..
pyar hai ek nagma aaj humein sunaya kal kisi aur ko sunoge ..
aap yaad karo ya bhul jao ,par humein aap bahut yaad aaoge
chhoti hai indagi milenge lakh hassen par kya kisi ko apna keh paoge ???
ant mein bhul kar lotoge jab darwaje par humein hi khada paoge.
.chhod kar aansuo mein gaye the humein aur aap meri muskan se jindagi bhar muskuraoge.
156. Ansuo ko bahut samjhaya
tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na
udaya karo,
iss par ansu tadap kar bole,
itne logo me aapko tanha pate
hai,
is liye chale aate hai…
157. Tumne hamen chod diya magar ek baat toh btate jao......

Humne wafa ki ya tumhen kisi Ki Talash thi......
158. Wo Apne hi hote hai jo dil pe war krte hai warna gairo ko kya pata ki dil kis bat pe dukhta hai..
159. Kab tak pyaar ke ek-ek pal ka intezar karna hoga.......
Kab tak is intezar ke aag main uhi jalna hoga.......
Mere dil se sabar aur na hoga.......
Akhir kab tak tumahre sath ek pal jine ke liye.......
Mujhe uhi pal-pal marna hoga......
160. Muskurane Ki Adat Bhi Kitni Mehngi Pari Hum Ko
Chod Gaya Wo Ye Soch Kar Ke Hum Judai Main Bhi Khush Hain..
161. Saari Duniya Ke Rooth jane Se Hume Gharz Nahi "Dost"
Bas ek Tera Khaamosh Rehna Humhe Takleef Deta Hai....
Top of Form
162. Ye dukh nhi ke tu ne nigah badal li mujh se
Gham to ye he ke tu jeena seekh gaya mere bagair....
163. Maine poocha ke rooh Jism se nikalati hai kis tarhaan,
Haath usne mere haathon se chhuda kar dikha diya....
164. Meri zindagi mein fakaqt do hi kaam,na mumkin rahe,
Use paa lene ki tamanna Ya usey bhool jaane ki khuwaish..
165. Alfaz To Bohat Hain Mera Dard Bayan Karne Ke Liye
Par Jo meri Khamooshi Na Samjha Wo Mere Alfaaz Kya Samjhe Ga.
166. Raat Der Tak Teri Dehleez Per Bethi Rahi Meri ” Ankhain ”
Khud Na Aana Tha To Kuch Khawab Hi Bhej Diye Hote..!
167. Hmari Kismat To Aasman Per Chamkte Huwe Sitaron Ki Tarah Hai,
Log Apni Tamana ke Liye Humare Tootne Ka Intezar Karte Hain....
168. Hum is kabil to nahi ke koi humein apna samjhega..
lekin itna tou yaqeen hai koi roye ga bhoot humain khoo dene ke baad....
169. Hume Pata Tha Ke Tere Muhabat Ke Jaam mein “Zehar” hai “BEWAFA,
Lekin Tere Pilane Mein Khaloos itna tha ke Hum Thukra Na Ske…
.
170. “Kitna Naaz Tha Shajar Ko Apni Ghani Chaaon Per;
“Us Ke Saaye Talle Koi Jal Gaya Usse Khabar Bhi Na Huyi….
171. Do julmon mein simti hai dastan mohabbat ki
Use toot ke chaha, or phir chah ke toot gaye hum....
172. "Bohat Roye Wo Humare Paas Aa Kar Jab Ehsaas Hua Unhen Apni Galti Ka,
Chup Karwa Dete Hum bhi Unhe Agar Chehre Pe Humare Kafan Na Hota....
173. Tere Jane Ke Baad Bus Itna Sa Gila Raha Hum Ko,
Tu Palat Kar Dekh Jata To Sari Zindgi Intzaar Mein Guzar Dete...
174. Duniya ka yakeen kare bhi to kaise kare,
Apni he aankh ka ansoo bhi to apna na raha
Wo bhi aaj nikala to kisi or ke liye….
175. Ungliyan aaj bhi is soch me ghum hai faraz
Usne kaise naye haath ko thama hoga.
176. Us Shaks Ko To Bichadene Ka Saleka Nahi ” FARAZ”
Jate Huye Khud Ko Mere Pass he Chod Gya....
177. Ab maayoos kyu ho us ki bewafai pe Faraz?
tum khud he to kehte the ke wo sab se juda hai.
178. kisi ke ek anso par hazaron dil tarapte hain
kisi ka umar bhar ka rona yun hi bekaar jata hai....
179. Uske har sapne ko pura karne ki jid thi meri,
Usne ajadi mangi or maine khud ko mita diya….
180. Ek Nafrat Hi Nahi Duniyaa Mein Dard Ka Sabab
Mohabbat Bhi Aksar Sakoon Walon Ko Bohut Takleef Deti Hai .
181. Mili saza jo mujhe wo kisi khata pe na thi “FARAZ”
Mujh pe jurm jo sabit hua wo wafa ka tha…
182. Wo mera sab kuch hai bas mera muqadar nahi Faraz…
Kaash wo mera kuch na hota sirf mera muqadar hota....
183. safaid libaas usse bahut pasand tha faraz“`
jab aj main kafan main lipta hun tou woh rota kyu hai.
184. Meri mohabbat hai woh, koi majboori to nahin.
Woh mujhe chahe, ya mil jaye, zaroori to nahin.

Yeh kya kam hai ke basa hai woh meri saanson mein.
Woh saamne ho meri aankhon ke zaroori to nahin...!!!
185. mohabat rooh mein utara huwa mosuam hai jana
ta’aluq khtam karne se mohabat kam nahi hoti...
186. ye raaz tO wo jan gaya hai?
Wo kis ka hai ye sawal mujhe sonay nahin deta.
187. Shayad Tu Kabhi Pyasa Meri Taraf Laut Aaye ‘FARAZ’
Aankho Mein Liye Phirta Hoon Darya Teri Khatir…
188. ab laga tha “Teer” tab Itna “Dard” na Huwa,, “GHALiB”….
Zakham ka Ehsaas tab hua jab “kamaan” dekhi apno KeHath mein.
189. samander se keh do apni moje sanbhal kar rakhe
zindagi mein toofan lane ke liye bewafa log hi kafi hain..
190. Mujh se kya gila hai tum ko, aakhir itne baduman kyu ho,
Maine tumko chaha hai tum se to kuch nahi chaha....
191. chahne wale bhi bade naseeb se miltey hain ‘Wasi’
tum ye baat tasleem karo ge mere bichar jaane ke baad...
192. main tujhe kyu manau bar bar,
kya tujhe khud maloom nahi tere bina kitna adhoora hu main.....
193. Sookhe Patton Ki Trha Bikhre Hai Hum To,,,
Kisi Ne sameta Bhi to srif Jalane Ke Liye,,,
194. Kash wo ek moka to deta baat karne ka "
Hum unko bhi rula dete un ke sitam suna suna kar..
195. Na Tuje Chor Sakte hain Tere ho bhi nhi sakte,
Ye Kaisi Bebasi hai Ham ro bhi nhi sakte,

Ye Kesa Dard Hai Hamein Pal Pal Tarpa ke Rakhta Hai,
Teri Yaad Aati Hai To Phr So Bhi Nhi Sakte,

Chupa Sakte Hain Na Dikha Sakte Hain Logon Ko,
Kuch Aise Daag Hain Dil Per Ham Dho Bhi Nhi Sakte.

Kaha To Tha Chor Denge Ye Nagar Phir Ruk Gaye Lekin,
... Tumhein Paa To Nahi Sakte Lekin Kho Bhi Nhi Sakte.

Hmara ek Hona Bhi Nhi Mumkin Raha Ab To,
Jeeye Kaise Ke Tum Se Door Reh Bhi Nhi Sakte......
196. Janaza Rok Ker Mera woh Iz Andaz Se boli…
Humne to gali Kaha tha Tum to Duniya he Chod chale
197. Yeh Jaan Kar Khushi Hui K Usay B Mere Dukh Dard Ka Ehsas Hai
Usney B Keh Diya Itna Udaas Rehtey Ho to Mar Kyu Nahi Jatey.
198. Aakhri  mulaqat sAy mujh kO bas yAi maLoom huwa..!
Kay usAy dushwaR lagTa hAy muJh sAy taLuq rakHna..!.
199. Meri maut par kisi ko itna afsos nahi hoga
Bus ek Tanhai royegi ki mera hamsafar chala gaya...
200. Bulana Use V Mere Janaze Me Zarur... Meri Usse 1 Hasheen Mulakat To Hogi, Mere Jism Me Jaan Besak Na Ho.. Par Meri Jaan Jo Mere Jism ke Pass Hogi. . .
201. Lafzo Pe Baat Aye To Kya Karu, Koi Itna Yaad Aye To Kya Karu, Dil Karta Hai Usko Ek Lamhe Ke Liye Dekh Lu, Par Woh Lamha Hi Na Aye To Kya Karu.???
202. Tujhe Haq dia hai maine
mere saath
dil-
lagi ka
Mere dil se khel jab tak
tera dil behal
naa jaey...!!
203. wo meri duniya thi lekin
kismat me nhi thi ,
.
kash..,,,,,,
ki wo meri kuch na hoti,
bus meri kismat me
hoti ,,,.
204. Bohat Mushkil Ho Gaya
Hai Khud Ko Sambhal
Rakhna,
Magar Woh Keh Gayi
Hai "Apna" Khaiyal
Rakhnaa..!!
205. Me Kambakht Ab Bhi
Zinda Hoon, Sirf
Intezaar Me Uske,
Aur Wo Kahte Hai Ki, Mar
Gaye Ho Tum Mere Liye...!?
206. itna sajao mere janaze ko yaaro,
Ki meri jaan ki aankho se aansu na aaye,
Saari umar to nafrat thi use mujhse
Kam se kam janaze se to wo rooth kar na jaye...
207. Kisi aur ki bahon mein rehkar
woh humse wafa ki baat karte hain.
yeh kaisi chahat hai yaaro,
woh bewafa hain yeh jaankar bhi
hum unhi se mohabbat karte hain.
208. Teri aankho mein aansu they meri khatir_Woh ek lamha mujhy zindagi se pyara laga.
209. AB k bar milyn gay" to koob rolaingy oun ko NASHAD" SONA hay ounhy rotay howy lipat jany ki aadat c hay.
210. JAb tUm laOt aaO tO SaddiyOun ki umEr lAana ,...i!i...K tEre sAth Ab mujhEy mukhtaSir nAhi RehNa 
211.  Kash tu dekh sakta mujhay_Raat ke us pehar main_Kitni bedardi say teri yad_Meri neend chura layti hai
212.  Zara Daikhna Uth Gaye Sahib Neend Se,,,'? "Suna Hai B0hat S0tay Hen Ye Husn Walay.
213.  Yaad Hain Hum Ko Hamary Sub Hi Gunah... Ek Muhabbat Karli.. Dosra Tum Sey Karli.. Teesra Toot Ke Karli.
214. Waqt Ke Saath Badalne Ka Hunar To Har Koi Rakhta Hai,Behtar To Tab hai Ke Waqt Badal Jaye Lekin Insaan Na Badle.
215.  Sab ke hoonton pe tabassum tha mere Qatal ke baad Jaane kia sooch ke rootha tha Qatil mera
216. Sirf Chehre Ki Udaasi Se Bhar Aaye Ansoon Dil Ka Alam To Abhi Aap Ne Dekha Hi Nahi.
217.  Phir Is K Baad Ye Bazar_e_Dil nahi Lage Ga...Khareed Leejiye Saahib,Ye Ghulam Aakhri hai
218. Nazuk mizaaj hain ---wo #GHALIB kuch iss qadar---Payal jo pehni paon mein---chham chham se dar gye
219. Meri fitrat mein nahi mera gum beyan karna, agar tere wajood ka hissa hun to kar mehsus takleef meri
220. "Main Kaisy LarOon MuqaDma Khud Se Us Ki Bewafai Ka....!Ye DiL BhI WaqeeL us Ka,Ye Jaan Bhi Gawaah us Ki....
221. apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N 
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N

niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.N
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.N

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii
bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.N

sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.N

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.N

mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.N

tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N

222. Kaisey Andaz-e-Shouq Mein Keh DiYa Tum Ne Alvida . . .
Jaisey Sadiyon Se Tere Dil Pe Koi Bojh Thy Hum...
223.. Kisi Ny Dil Ko Is Kadar Choo Liya...!♥!
Ki Hm Kisi Aur Ko Choo Na Saky........!!♥!!

Hm To Chaly Thy Apko Dost Banany Magar....!♥!
Aap To Dhadkan BanTy Chaly Gye.....!!♥!!
224. Roz rote hue kehti hai ye Zindagi mujhse meri *~*

*~* k Sirf ek shakhs ki khatir mujhe barbaad na kar.
225. Woh jaan gaya tha hame dard mein muskurane ki aadat hai,
Woh roz naya dukh deta tha meri khusi ke liye…
226. Yun hi
ranjjishon main Guzar gai zindagi...

kabhi wo khafa kabhi hum khafa,,,.

usi raah k har mor pe.,,
...
kabhi woh ruka ,
kabhi main ruka.
wohi rasty wohi,
humsafar....

naa use khabar,
naa mujhe pata.

or apni apni anaa main gum.,
kabhi wo

JUDA,,,,
kabhi main
JUDA,,,,,,
227. Kaash K Kabhi Tum Samjh JAao "Meri Chahat ki Inteha ko"
.
.Hairan reh Jaao gy"Tum apni Khush -Naseebi Par .
228.